DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QURBANI, DAY : 297,

Hazrat Ali (Karramallahuwajhahu) se rivayat hai,ke Aap Eid ul Azha ke Mauqeh per 2 Mendo ki qurbani di, 1 Menda Nabi e karam(sallallahualihwasallam) ki Janib se aur 1 Menda Apni Taraf se, to aap se is bare me sawal kiya gaya to aapne farmaya : Is tarah Qurbani dene ko Nabi e Akram

(sallallahualihwasallam) ne mujhe Hukm farmaya hai,lehaza Mai isko Kabhi Nahi chodunga.
(Vol/1,H,No : 1574),
Dars : Agar koi Sahib e Isteta’at ho to usko
Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ki Janib se Qurbani dene ko Ulama e kiram ne Mustahab Qarar diya hai,Yani Aapki Janib se qurbani de to Bohat Umdah hai,Wajib Nahi hai,
■■ Baaz log ye samajhte hain,ke Jab koi pahli Baar qurbani de raha hai,to usko Pahli Baar Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ki janib se qurbani dena hai,phir baad me apni janib se warna uski qurbani nahi hogi ?
to yaad rahe ke aysa kuch bhi nahi hai,kyu ke jab koi Sahib e Nisab hojata hai,to usper Pahle Uski hi Qurbani Wajib hoti hai,to usko Pahle apna wajib ada karna hai,
●● Is Hadees e paak se Ualama e Kiram ya maslah ka Hal Nikalte hai,ke Marhoom ki Janib se agar koi Qurnani de to uski Qurbani hojati hai,Yani Marhoom ki janib se qurbani de sakte hai,uski Qurbani dena Wajib Nahi hai,
Allah hame Tere hukm ki Amalaawari per Hamesha tayyar rahne wala Banade…Ameen.

Plz…Share it to All,Foe more…Visit our islamic Web site…anwaarulislam,com.

You might also like