DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QURBANI, DAY : 298,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Hudaybiyyah ke Mauqeh per Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke saath the,to Hum Sab ne aapke saath Ek Gaye (Cow) ki Janib se 7 Log aur Ek Wunt(Camel) ki Janib se 7 Logone Qurbani di.

(Vol/1,H,No :1584),
Dars :
■■ Qurbani ke Janwaro me Bakrah aur Bakri,Menda,Dunba etc..Halal Janwaro ko chote Janwar ki istelah se bhi jana jata hai,in janwaro me ek Shaks ki hi Qurbani hogi,ek se zayid logo ki qurbani Nahi hogi,Kyu ke Hadees e paak me aysa hi hukm aya hai,
■■ Gaye(Cow),Wunt,Khulga,Bhains,aur Bail etc..Halal Janwaro me 7 Qurbani ke Hisseh hote hain,Yani in me 7 Logo ki Qurbani hojati hai,Is Masleh me Baaz Ulama ka ikhtelaf hai,lekin ye Maslah Maslak e Hanafi ke etebar se hai,
●● Murgha aur Murghi etc..Charindo aur Parindoh se Qurbani Nahi hoti hai,Haan inko Sadqah de to Sadqah ada hojata hai,
Iske Alawah Qurbani ke janwaro ke muta’allaq kayi masaayil hain,jo aapko insha Allah aage bataya jayega…
Allah hame Qurbani ko sahi tareeqeh se dene ki taufeeq ata farma…Ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like