DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : SAID (SHIKAR), DAY : 293,

Hazrat Abu Laila(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jab Tumhare Ghar me Saanp(Snake) Ajaye to Kaho ke :HUM TUM SE HAZRAT NOOH AUR HAZRAT SULAIMAN BIN DAWOOD(Alaihimassalam) ka Waastah dete hai,ke tu Hame Noqsan Na pahoncha,

Ye kahne ke Baad agar wo Saanp(snake) phir laut kar aye to ab Usko Maar Dalo.
(Vol/1,H,No :1562),
Dars : Saanp ek Moozi yani Noqsan pahonchane wala Zameeni keeda hai,jisko Hasharaatul Arz bhi kahte hai,jiske waar se Jaan bhi chali jati hai,Jiske Bare me sabka Qaul hai,ke Usko Dekhte hi Qatl karna hai,
Magar Islam ek aysa Mazhab hai,jo Saanp(snake) ko bhi Mauqah dene ka hukm deta hai,ke use dekhte hi Na maro balke usko jane ka Mauqah do,Agar wo Chala jaye to usko Na maro aur agar wo laut kar aye to ab usko Maar dalo,kyu ke ab Jaani Noqsan ka yaqeen hojata hai,to Jaan ki Hifazat karna bhi Eiman me se hai,
■■ Ye Jo Hadees me 2 Nabiyo(Alihimassalam) ka zikr aya hai,ye Saanp se Hifazat ka Hisar hai,
Inka waastah dene se Insha Allah Wo Saanp koi Noqsan Nahi de sakega…
Allah hame har Moozi Janwar se Mahfooz kare..ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..awaarulislam,com.

You might also like