DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : SAID (SHIKAR), DAY : 292,

Hazrat Abu Waqid Laisi(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) Jab Madeenah Tashreef laye to waha dekha ke log Zindah Wunt(Camel) ke Kohan(Peet per Ubhra huva Hissah),aur Zindah Bakro ke Raano ke Peeche ka Hissah Cut karke Istemal kiya kar rahe the,(ye waha ka Mahol tha) to aapne farmaya :
Zindah Janwar ka agar koi Hissah Cut karle to Ab wo cut kiya huva Hissah *MURDAH* hi samjha jayega.
(Vol/1,H,No :1555),
Dars : Yani Agar Kisi Halal Janwar ko Zubah karne ke Baad uske jism ke kisi Hisseh ko cut kare to wo Hissah Bila Shak wa Shubah Halal hai,kyu ke Janwar Ab waha Zubah hochuka hai,
Jab Baghair Zubah kiye hi Janwar ke Badan ka koi Hissah Cut kar de to Ye Hissah Ab Halal Nahi hoga kyu ke Ab waha Janwar Zubah hi Nahi huva hai,Jab janwar zubah hi Nahi huva hai,to Uske Badan ka koi Hissah Yani Gosht bhi Halal Nahi hoga,
■■ Uski ek Wajah ye bhi hai,ke Janwar ko Takleef se Mahfooz karna hai,kyu jab Zindah janwar ke kisi Hisseh ko cut kare to samjhe ke us janwar ko kitni takleef hoti hogi,lehaza Islam jo ke Dunya ke saare Mazhabo me se Sab se ziyadah *AMAN WA SALAMATI WALA MAZHAB HAI* to usne apni Bunyadi Taleemaat me Insaano ka Hi Nahi Janwaro ki Hifazat ka bhi khayal kiya hai,
●● Haan,Zindah Janwaro ke Cut kiye huve Baal ko istemal karne ki ijazat hai,kyu ke iske istemal se janwaro ko koi takleef bhi Nahi hoti hai…
Allah hame Insaano aur Janwaro ko takleef dene walo me Na banaye..Ameen.

Plz..Share it to All,For more islamic services Visit our web site…anwaarulislam,com.

You might also like