*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER: SALAH, DAY :108,
Hazrat Abu Zarr(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Tum Halat e Namaz me Sajdeh ki jagah ko ziyadah Saaf Na kiya karo,kyu ke Waha Allah Ki Rahamat Mutawajjeh(Nazil) hoti hai.
(Vol/1,H,No:380),
Dars: Dosto,Namaz ke her rukn ki fazeelat apni jagah ber Haq hai,hame her rukn ko khushoo ke saath Baja lana chahiye,
Ab rahi sajdeh ki halat Akser us maqam per Kankar etc..hote hai,to ek Doosri hadees me aya hai,ke agar sajdeh ki jagah pe kankar etc..ho to use 1 baar haath se saaf karne ki ijazat hai,
Ye isliye hai,ke Banadeh ki Namaz se Khushoo na chala jaye..
Plz..Share it to All,For islamic Service.