*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, DAY :124,

 

Hazrat Abdullah Ibne Masuood(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko maine kayi Martabah Maghrib ki Farz Namaz ke Baad 2 Sunnato aur Fajar ki Farz Namaz se pahle 2 Sunnato me”SURAH KAFIROON” aur “SURAH IKHLAS(Qul Huvallahu Ahad…)” Padhte huve dekha hai.
(Vol/1,H,No :433),
Dars: yani 2 Surate bhi padh sakte hai,aur jo sureh yaad hai,usko bhi padh sakte hai,
Aur usme ye bhi isharah hai,ke..SUNNAT NAMAZ KI HAR RAKAT ME SURAH FATEHA KE SAATH KOI DOOSRA SURAH MILANA HAI,
agar koi Ex..Zohar ki 4 Rakat sunnato me kisi ek rakat me surah fateha ke saath koi surah na padhe to us per Sajdah e Sahu wajib hojata hai.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like