*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER: SALAH, DAY :125,
Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Maine Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ke saath Maghrib ki Namaz ke Baad wali 2 Rakaat Sunnato ko Aapke Ghar me Ada ki hai.
(Vol/1,H,No :434),
Dars: To malum huva ke Farz Namaze Masjid me Ada karna hai,aur Sunnate Ghar me bhi ada karsakte hai,aur Masjid me bhi ada karsakte hai,
Hikmat :Ghar me Sunnate ada karne se Ghar me Namaz padhne ka mahol hojayega,
jaisa ke Hadees e paak me aya hai,ke Apne Gharo ko Qabrastan na banalo,iska matlab gharo ko Namaz ke zariyeh Aabad karlo hai,
■Baaz Imam Saheb Farz Namaz ke saath hi Masjid se nikal jate hai,to log Baad me ye Baate Na kare ke Imam Sunnate Nahi padhte hai,Balke Imam saheb to is masleh ke Hisab se Ghar ja kar Sunnate padhte hai.
Kyu ke kisi ke Saath Acha Guman Rakhna bhi to “NEKI” hai.
Plz..Share it to All,For islamic Service.