*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, Day : 127,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah ke paas Ramazan ke Mahine ke Baad Sab se Afzal Mahinah Moharram ka mahinah hai,aur Farz Namaz ke Baad Afzal Ibadat”RAAT KI NAMAZ” hai.
(Vol/1,H,No:440),
Dars :Islami Bhaiyo..,isiliye Moharram me 9Moharram aur 10 Moharram ya Nahi to 10 Moharram aur 11 Moharram bahrehal 2 Din Nafil Rozah rakhne ka hukm diya gaya hai,
Raat ki Namaz se murad “TAHJJUD” Hai,aur Baaz ne kaha,Koi Bhi Nafil Namaz murad hai.
Allah hame Din aur Raat me Ibadat ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Shre it to All,For islamic Service.

You might also like