*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER: SALAH, DAY :131,

Hazrat Abdullah Ibne Omer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jab Subaha Hojaye to Raat ki Namazo ko Waqt Khatam Hojayega,lehaza Witar Ki Namaz ko Fajar se Pahle hi Padh liya karo.
(Vol/1,H,No:471),
Dars :Is Hadees me is Baat ki Taraf isharah Hai,ke Witar ki 3 Rakaat agar isha ke baad choot jaye to Fajar se pahle padh lena hai,Baad me uski Qaza Nahi karsakte hai,
Sivaye Farz Namaz ke…
Aur isme Noktah(Point) ye hai ke :
●● Bandah Apna koi bhi Kaam ho waqt per mukammal karle to usi me Barkat hogi,
us kaam ko Susti ki wajah se Pending me Na Dale…warna Mauqah haath se Nikal jayega Phir wo Na Kaam hojayega..!!!

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like