*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY :130,

 

Hazrat Kharijah Bin Huzafah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha ke Hum Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke saath The to apne Farmaya :Allah ne meri Ummat ko Ek Namaz ka Hukm Diya hai,Us Namaz ka padhna Allah ke Raasteh me Woonto(camels) ko Qurbani dene se bhi Behter hai,aur wo Namaz..NAMAZ E WITAR Hai,uska Waqt Isha ke Baad se Lekar Fajar se pahle tak hai.
(Vol/1,H,No :454),
Dars: Witar ki 3 Rakaat hai,Mazhab e Hanafi me Ek salam se hi 3 rakaat ada karna hai,aur ye Ramazan me Jamat ke saath aur doosre dino me Tanha padhna hai,
Agar koi isha se pahle padhe to dobarah padhna hoga..
Iska doosra mana ye bhi hai ke jitna Sawab Allah ke raasteh me Woont ka Sadqah ya Qurbani karne me milta hai,is se bhi ziyadah sawab Namaz e witar padhne se Milta hai..
Plz..Don’t miss it..

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like