***DARSE JAMIUT TIRMIZI*** CHAPTER :SALAH, DAY :134,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha:Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:
Dino(Days) Me Behtreen Din Jumah ka Din hai,kyu ke Us Din Adam(alihissalam) Paida huve,usi Din Jannat me Dakhil kiye gaye,aur Usi din Unko Jannat se Nikale gaye,aur Wahi Jumah Ka din Hi Hai,jisme Qiyamat Qayim hone wali hai.
(Vol/1,H,No:490),
Dars:To hame chahiye ke is din ko Ibadat aur Zikrullah aur Durood e paak padhte huve Guzare,take uski Rahmate wa Barkate Hasil karsake,aur Us Din jumah ke Khutbah se pahle Masjid me Hazir hojaye,
Uska matlab ye Nahi ke Sirf Jumah ke din hi Namaz ka ehtemam kare balke Her Din 5 Namaze to padhna hi hai.
Allah hum ko rozanah 5 Namaze padhne ki taufeeq ata farmaye..Ameen.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like