*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, DAY :135,

 

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Jumah Ke Din Asar se lekar Maghrib Tak Ek Aysa waqt hai,us Waqt Bandah Jo Bhi Dua Mangta hai,to uski Dua Qubool hoti hai,is Waqt ko Ghaneemat jano.
(Vol/1,H,No:491),
Dars: Dua to Her Waqt aur Har Lamha Allah se karna hi hai,lekin Baaz Lamhe Ayse hote hai,jisme Allah ki Rahmat Baristi hoti hai,to Qurban jaye Aaqa e 2 Jahan (sallallahualihiwasallam) per Jinhone Apni Ummat ko Un Lamhat ki khabar bhi de di hai take Ummat in Lamahat se faidah hasil karle,to hame bhi Chahiye ke in Lamhaat me Khoob Dua mange..

Share it to All,For islamic Service.

You might also like