*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** Chapter :SALAH, Day :74,

 

Hazrat Jabir(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Jab Tum Sajdah karo to Barabar karo,sajdeh me apne Dono Haatho ko kohniyo ke Saath Zameen per Na bichavo jaisa ke Kutta Apne 2 Haath zameen pe Bicha deta hai.
(Vol/1,H,No:276),
Dars: Dosto,Hadees e paak me Sajdah ki Halar wa soorat ko bataya gaya hai,ke..
Bandah jab Sajdah kare to uske 2 haat zameen se juda rahe,
pet(stomach)apne Raano se alag rahe,aur apne baazu khule rahe yani baghal se na mile huve ho,
Aur pairo ki ungliya Qiblah ki taraf rahe,aur ungliyo ko zameen per hi tika rahne de…ye Mardo ke sajdah ki halat hai,
Khawateen(Ladies) ke sajdah ki halat kuch alag hi ,ke …Wo apne pet ko raano se milade,Hatho ko baazuvo se milaye,yani baghal khule na rahe,etc..yani Khawateen ke sajdah ki halat me”HIJAB”pardah ka bhi etebar hai.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like