*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, Day :91,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:
Jab Namaz shuru hojaye to Namaz me shareek hone keliye bhagte aur daudte huve na shareek ho,balke is tarah chalte huve shareek ho ke dil me sukoon baqi rahe,jab is tarah namaz me shareek hojaye to Namaz padhlo aur jo rakaate choot gaye usko Mukammal karlo.
(Vol/1,H:328)
Dars :Dosto,ye baat zahen me rakhle ke islam me jitne masaayil ka hal hai,wo musalmano keliye hi hai,isko apnane me aur us per amal karne me shak aur shubah me nahi rahna chahiye ,
Her ibadat ki fazeelat wa ahmiyyat apni jagah ber haq hai,lehaza namaz ki pahli rakat choot jaye to takbeer e tahrimah me shareek hone ki fazeelat to choot gayi lekin yaad rahe namaz to baqi hai,ab usko ache tareeqeh se mukammla karne ki koshish karna chahiye,lehaza sukoon ke saath namaz me shareek ho to itminan aur khushu dono baaqi rahenge,,insha Allah..
plz,,Sshare it to all,for islamic service.

You might also like