*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH DAY :99,

 

Hazrat Sawban(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Jab koi Shaks Kisi Qaum ya Jamat ka Imam bane to wo Dua ko apne liye hi Khaas na kare,Balke Dua me doosro ko bhi Shamil karle,agar wo Dua me doosro ko shamil Na kiya to Khiyanat kardiya.
(Vol/1,H,No:356),
Dars :Dosto,malum huva ke imam banna kamal Nahi hai,balke uski zimmahdariyo ko nibhana kamal hai,ke wo apne Dua me apni qaum ko bhi shamil karle kyu ke qaum iske dua per bharosah karke”AMEEN “kahti hai,to jab saare log ameen me shamil rahte hai,to kyu na unhe dua me shamil kiya jaye ?
zaroor karna chahiye.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like