*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER: SALAH, DAY:129,

 

Hazrat Abdullah Bin Abu Qais(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Maine Hazrat Sayyidatuna Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se sawal kiya ke Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) Raat me Quran kis tarah padha karte ?
Aap ne Farmaya:Rasool e Akram(sallallahualibiwasallam) Kabhi Quran Ahistah Padha karte,aur Kabhi Buland Awaz me padha karte.
Jab mai e ye suna to kahne laga ke ..Tamam Tareefe Allah keliye hai,ke Jisne Deen ke Moamlah me Gunjayish Rakha hai.
(Vol/1,H,No:451),
Dars:Jab log soye(sleeping) huve ho ya kisi kaam ya ibadat me ho to Ahistah Awaz me Quran padhe,aur jab kisi qisam ki Rukawat Na ho to Buland awaz me Quran padhna chahiye,,,
●● Ye Hai Deen e Islam ke Jaha wo Ibadat wa Tilawat ki Taleem deta hai,to pahle wo Insaano ko Takleef dene se bhi mana karta hai,
☆☆ Soncho ke jis Mazhab me Aam insaano ki Neend wa Aaram ka itna khayal ho to wo Mazhab Dahshatgardi ki kise taleem de sakta hai….??????Hargiz Nahi de sakta..!

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like