*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER : SALAH, DAY:97,

 

Hazrat Abu Salamah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine dekha ke..
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Umme Salamah(raziyallahuanha) ke ghar me Ek hi Kapde me Namaz padh rahe the.
(Vol/1,H,No:340),
Dars:Dosto,Aysi Saadgi ki Misal Qiyamat Nahi mil sakti ke :2 Jaha ke Khazaneh ki kunji(key) jin ke Haath me ho wo phir bhi Saadgi me Ek hi kapde me Namaz padh rahe ho,
Subhanallah…
Ek Maslah ? Is hadees se baaz log kahte hai,ke..
Ek kapde me Namaz ada huvi to Sar pe Topi kaha thi ? Lehaza topi lagana Sabit Nahi huva kahte hai ?
Jawab: Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne apne sar per Topi aur Amamah bandha karte
(Tirmizi,Vol/2,Pg/208),
Iske alawah kayi hadeese hai,topi ki daleel me
Ab rahi baat ye Ek kapde ki Hadees…to dosto ye Ibteda e islam ki Baat hai,jis waqt ek hi kapda muyassar huva karta tha,to is se ye maslah nikalna sahi nahi hai,warna Paint aur Shirt ya T_Shairt pahenna bhi jayiz nahi hoga !!?
Aqli Dalil:Her Qaum is dunya me Apne Shiaar aur logo se pahchani jati hai,to Topi bhi Musalmano ki Zahiri Alamat hai,maanlo Haqeeqi Na bhi ho lekin Saari Dunya Topi walo ko “MUSALMAN” hi to kahti hai,
Topi Musalman ke saro se Nikal ker Baaz log kiya karna chahte hai ????
Allah Hidayat de..Ameen..
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like