*** DARSE JAMIUT TIRMIZI *** CHAPTER :SALAH, DAY:96,

 

Hazrat Abu Juhaim(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya: Namazi ke Saamne se Guzarne wale ko agar uske Guzarne ki saza qiyamat me kiya milne wali hai malum hoti to wo Wahi per 40 saal bhi ruk jaye to us keliye behter hota.
(Vol/1,H,No:337),
Dars:Dosto,Ye Namaz padhne wale ke saamne se Na guzarne ki taraf targheeb hai,agar koi guzre to Gunahgaar hoga,lehaza sabr kare Namaz khatam hone ka intezar karle,
Haan,Namaz padhne wale ko bhi chahiye ko wo Masjid ke Darwazeh(Door) ke paas ya aysi jagah na Namaz padhe jaha se log akser guzarte ho,kyu ke pata nahi kisko kounsa zaroori kaam ho,aur aap namaz se unko rokle,ye bhi sahi nahi hai.
Plz..Share it to All,For islamic Service

You might also like