DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : WAQF , DAY : 284,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jab Insaan Ka Inteqal hojata hai,to Uske Saare Aamal ka Ta’alluq Khatam hojata hai,magar 3 Cheezo ka Amal Marne ke Baad bhi us Bandeh se laga rahta hai :
1) Sadqah e Jariyah,
2)Wo ilm Jis se Log Faidah Hasil karte rahe,
3)Nek Awlaad Jo Uske liye Dua karte Rahe,
(Vol/1,H,No :1432),
Dars : Is Hadees ko jo Bhi Bandah apni Zindagi ke Har Lamhe me saath rakh kar aage badhta rahega,to insha Allah Qadam qadam pe wo Nek Kaam karta jayega,aur Aakhirat ko Sanwaarta jayega,
■■ Sadqah e Jariyah : Aysa Sadqah Jiska Sawab Jari rahe,Jaise Masjid,Madarsah ki tameer(build)karna,Ya uski tameer me Madad karna,Ya Awaam ke Peene keliye Borewell dalwadiye,Kisi Madarseh me Quran ya Kitabe Dilwadiye,Yateem aur Bewa Khawateen keliye rahne ka Intezam karwadiye,etc…
●● ilm :Logo ke faideh keliye Koi Aysa ilmi kaam kare ke aapke marne ke baad bhi log usko padh kar Hidayat wale raasteh per qayim rahe,aur apni islah karte rahe,Koi Kitab likh de,Mazmoon likh de,etc..
☆☆ Nek Awlaad : Awlaad ki Achi Tarbiyat karne,aur Unko Deeni Taleem se Wabastah rakhe,Hafize Quran aur Aalime Deen banaye Jitne logo ko wo Deeni taleem de to usko faidah Walidain ko bhi Pahonchega,
Apni awlaad Dunya ki taleem me bhi ho to unko ache Akhlaaq se aarastah kare,Islami zindagi ka har pahlo bataye,jis per wo chal kar Nek Insaan banjaye,aur wo Doosro ko faidah dene wala insaan banjaye to aysi Nek Awlaad ki dua se Bhi Walidain ko Aamal ka Sawab Naseeb hota rahta hai,
Note : Ye Eisal e Sawab ki Daleelo me se Ahem Daleel hai,
Allah hame in Baato per Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like