DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER:SALAH(JUMAH), DAY:142,

 

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya:
Jab Tum Jumah ki Namaz adar karo to Uske baad 4 Rakaat(Sunnate) padhlo.
(Vol/1,H,No:525),
Dars:Islami Bhayiyo,Jumah ki Sunnato ke bare me Doosri ahadees me ye bhi aya hai,ke :Jumah ki Namaz se pahle 4 Rakaat,2 Rakaat Jumah ki Namaz ke Baad,phir 4 rakaat Sunnate,phir 2 rakaat Sunnate Ada karna hai,ye hadees se sabit hai,phir uske baad 2 rakaat Nafil padhna ho to padh sakte hai,koi haraj Nahi hai,kyu ke Nafil namaz kabhi bhi padh sakte hai,
☆☆ Afsos Sad Afsos,Baaz log hai,jo jumah ki 2 rakaat Namaz ke baad 4 rakaat phir Jamat se ada karte hai,”YE HADEES KE KHILAF” hai,aysa Nahi karna Chahiye,is 4 rakaat ko Tanha hi ada karna hai,Jamat se Nahi kyu ke ye 4 rakaat Jamat se ada karna Kahi se sabit Nahi hai.
Allah hum sabko Nek Taufeeq de..Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like