DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY 870-HADEES NO : 2812

Hazrat Sayyiduna Anas Bin Malik (raziallahu) se rivayat hai, kaha : RASOOLULLAH ﷺ NE farmaya : Mujhe Hukm Diya gaya hai,ke Mai logo se us waqt tak Muqablah karunga jab tak ke wo Log Gawahi de ke ” لا إله إلا الله محمد عبده ورسوله

Aur wo Hamare Qibleh ka rukh kare,Hamare Zabeeha(Allah ke Naam pe zubah zubah kiya huva janwar) khaye,aur Ham jaisi Namaz Ada kare” jab wo ye karle to Hum per Unka Khoon aur Maal Haram hai,lekin uske Haq ke muwafaq ,to Musalmano ke liye Jo Huqooq honge u keliye bhi wahi honge.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2812),

Dars : Uper ki Hadees ke Baaz hisseh ke tashreeh sabiq Hadees me guzar chuki hai,ab is hadees ke baaz jumbo ki tashreeh ki jati hai,

● Qibleh ka Rukh ;Momin Bandeh keliye Zaroori hai,ke Namaz me Qiblah ka Rukh karke Namaz padhe Jo Bandah qiblah ki taraf Rukh(charah Kabatullah ki raraf ho) karke Namaz Nahi padhta to uski Namaz hi Nahi hoti hai,usko Dobarah Namaz ada karna hoga,

Agar Kisi Ayse Maqam pe ex Jangal,Raat me City se door ho aur Qiblah Maloom Na horaha ho to aysi Soorat me Ghour kare Aapka Dil Jidhar Qiblah ka rukh kah raha ho udhar rukh karke Namaz padhle to Namaz hojayegi,

● Hamara Zabeeha : Allah ke Naam per Jo Janwar Zubah kiya jata ho to wo janwar Halal hai,warna Haram Nahi hai,

Agar Janwar ko kisi Machine se zubah kiya ja raha ho to Switch on karne S Pahle Allah ka Naam lena zaroori hai,warna wo janwar Haram hojayega,

Note : Musalno ko Chahiye Koshish ye Kare ke jab gosht khareed rahe to musalman ki Dukan se khareede kyu ke uska Janwar Halal hota hai.

Allah hame islami Aamal pet Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

 

 

You might also like