DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:869-HADEES NO :2811

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah (raziallahu) se rivayat hai,kaha : JAB Rasoolullah (ﷺ) ki Zahiri Wafat Huvi to Aapke Baad Hazrat Abu Bakr (raziallahu) ko Khaleefah Banaya gaya to Aapke Wisal ke Baad Arab me se Jo Kufr karna tha karliye to Hazrat Umer bin Khattab (raziallahu) ne aap se pucha ke aap Logo se kaise Muqablah karoge? ” Jabke Rasoolullah ﷺ NE farmaya:Mai logo se us waqt tak muqablah karunga jab tak ke wo LA Ilaha illallah Na padh le,Jab wo Kalimah padhenge to mujh se Aapni Jaan aur Maal ki Hifazat karlenge lekin unka Hisab Allah per hoga”

Hazrat Abu Bakr raziallahu ne kaha Allah ki Qasam Jo koi Namaz aur Zakat me Farq karega to mai unse Muqablah karunga,kyu ke Zakat Maal ka Haq hai,Agar wo Mujh se Zakat ki adayigi se Mana karenge to mai unse Muqablah karunga jabke wo Aap sallallahualihiwasallam ke Mubarak Dour me Ada karte the,ye sunkar Hazrat Umer raziallahu ne kaha : Allah ki Qasam Maine dekha ke Allah ne Hazrat Abu Bakr raziallahu ke Seene ko khol diya yaqeenan wo Haq per hain.

(JAMIUT TIRMIZI, Vol/2,Hadees No :2811)

Dars : Hadees e Paak ka mafhoom ye hai,ke Kalimah tauheed Yani Islami Taleemat,Ahkamaat,Aamal wa Aadab keliye Hamesha Jaddo jahan me lage rahna hai,uskeliye Bohat se Mashaqqato ko Bardasht karna hai,to tab hi Kalimah tauheed ke Haq ko Ada karsakte hain,

■ Kalimah Tauheed ko Sirf Zuban se padh lena kaafi Nahi hai,balke Islami Tamam Ahkmaat per Amal karne ke koshish karna hi Kamal e Eiman hai.

Allah hame Hamesha Deene Islam per qayim wa dayim rahne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

 

You might also like