DARSE-JAMIUT-TIRMIZI-DAY-863-HADEES-NO-2805

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah (raziallahu) se rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH (ﷺ) ne farmaya: Maine Jahannam k Misl koi Cheez Nahi dekhi ke jis se Bhagne wala Soya huva ho,aur Jannat ke Misl koi Cheez Nahi dekhi ke usko Talab karne wala Soya huva ho.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2805),

Dars : Hadees e shareef ka mafhoom ye ke Har koi Shaks Jahannam me Jana Nahi chahta hai,kyu ke wo Maqam e Azab hai,aur se darta aur ghabrata hai,to Us se Bachta aur Bhaagta hai,lekin agar wo uski sahi tayyari Na karega to wo Jahannam se Najat Nahi pa sakta hai,ti Bandah e Momin ko chahiye ke Wo Bad Aamal se Bache aur Nek Aamal per Amal kare to Wo Jahannam se Chutkara payega aur Jannat ka mustahaq hojayega,

● JANNAT ka talab ghar Nahi Sota ka matlab wo Din WA Raat Jannat ke Hasil karne ki fikar karta hai,aur Aapne Aamal ko Mazeed muzayyan karta hai,jis se wo Aasani Jannat me dakhil hojata hai.

Allah hame Jannat ul Firdous me jagah ata kare..Ameen

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

? WRITTEN BY;

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

 

You might also like