DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY: 864,HADEES NO:2806

Hazrat Sayyiduna Ibne Abbas(raziallahu) se rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ NE farmaya: Maine Jannat me Aksar Fuqara(Ghareebo) ko dekha aur Jahanname Aksar Aurato (Ladies) ko dekha.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No: 2806),

Dars : Dunya me Maaldari Aur Ghareebi Allah ki Janib se Bando ko Naseeb hoti hai,to Jo Maaldar apne Maal ko Sahi Maqam pe kharch Nahi karte to Wo Maal unkeliye Wabal Aur Azmayish Ban jayega,Aur Qabar me wahi Maal Saanp(snake) bankar unko Dasenge…!!!!!

Lehaza Maaldar apne Maal sahi Maqam pe kharch kare,

● Ghareebi Bando keliye Aib Nahi hai,wo Allah ki taraf se Rahmat bhi Aur Azmayish bhi Bandah koshish ke Baad Na kaam ho aur Maqame Ghurbat me ajaye to ab us maqam pe Allah ka Shukr Baja lakar Sabar kare to phir wo Jannati hojayega,

Haan,Taqat rakhne ke Ba wajood kuch Kaam Na karke Ghareebi me ajaye to ab ye Rahmat Nahi balke uske liye zahmat hogi kyu ke Deen e islam Bandeh ko Mehnat aur justujoo se kaam karne ki taleem deta hai,Na ke Be kar ke waqt zaye kare…

☆ Aksar Aurato me Gheebat aur Chughal khori Aam hoti hain,aur BAA Bad Aamal bhi Shaitan ke waswaso se un se saadir hojate hain,jiski wajah se wo Jahannam me ziyadah hoti hai,lehaza Jo in cheezo se Bachengi to wo bhi Jannat me dakhil hongi.

Allah hame Nek Kaam ki taufeeq ata kare.Ameen.

 

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MBNR.T.S),

You might also like