DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY: 865-HADEES NO :2807

Hazrat Sayyiduna Imran Bin Hussain (raziallahu) se rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA: Maine Jahannam ka Mushahadah kiya to Maine usme Aksar Khawateen(Ladies) ko dekha,Aur jab Mai Jannat ka Mushahadah kiya to maine waha Aksar Faqeer logo ko Waha Paya.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2807),

Dars : ISI Mazmoon ki Hadees is se pahle guzarchuki hai,lekin Alag Alag hai,is liye yaha usko Dobarah zikr kiya jaraha hai,

● Aksar Khawateen Jahannam me dikhayi di gayi yani Aksar tedad khawateen jahannamiyo me hongi,lekin uska matlab ye Nahi ke Khawateen Jannat me Nahi jaati ,Alhamdulillah Dunya me Bohat si aysi bhi khawateen guzri hain,ke Jinki Shaan,aur Aan me Qurani ayate Nazil huvi hai,aur Bohat si aysi Maaye(Mothers) hai,ke unki Tarbiyat se Is Ummat me Jayyid Ulama e kiram aur Soofiya e izam paida huve,aur unhi ki Shaan me Aaqa e Do jaha sallallahualihiwasallam ne farmaya Maa ke Qadmo ke Neeche Jannat hai,ye Azmat wa fazeelat hai,Deen e islam pe Chalne wali khawateen ki jisko Bhulaya Nahi ja sakta hai,

■ Ek Khatoon hi Apni Hayat me 3 Naslo ki Rahnumayi karti hai,to Khawateen ko Deeni taleem se Aarastah karna Walidain ki zimmehdari hai,warna Baad me Malal aur Pachtave ke kuch Hasil Nahi hoga.

Allah hame Apni khawateen ki Sahi Tarbiyat karne wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

 

You might also like