DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY: 876-HADEES NO :2822

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah (raziallahu) se rivayat hai, kaha:RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Eiman ke 70 se Ziyadah Darjeh hain,un me se Adna Darjah(Chota Darjah) Raasteh se Takleef Dene wali Cheez ko Door karna hai,Aur uska Sab se Aala Darjah(Bada Darjah) Kalimah Tayyibah(LA Ilaha illallah Mohammed ur Rasoolullah) kahna hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2822)

Dars : Eiman ke Bohat se Darjeh hain,Aur Ye Eiman aur Islam Qiyamat tak rahne wale hai,lekin Bandeh ke Zindagi Bohat Mukhtasar hai,lehaza Bandeh ko Chahiye ke Eiman ke darjo per Amal karke Apni Akhirat ki tayyari me laga de to ziyadah Behter hoga,

■ Raasteh se takleef wali Cheez ko door karne ka Matlab ,Kaante,Tooti Huvi Glass(kaanch,etc),Patther(stone) aur yaha tak ke No Parking ki jagah Apni Bike ya Gadi tahra karna ye bhi Raasteh me takleef wali cheeze hai,unko Parking ki jagah me rakhna hai,tab Bandah Eiman ke Adna Darjeh per Amal karega to wo Eiman ke Aala Darjeh tak Aasani se Pahonch jayega,

● Allah ki Di huvi Nemato me Sab se Azeem Nemat ek Zuban bhi hai,Iska Sahi istemal Bandeh ko Allah ke Qareeb kardeta hai,aur wo Zariyah Zikr e ilahi hai,Jo Bandeh ki Zuban se Ada hota hai,aur usme bhi Azeem zikr aur Eiman ka Aala Darjah Kalimah tauheed LA Ilaha illallah Mohammed ur Rasoolullah hai,isko padhne me Ziyadah waqt bhi Nahi lagta hai,lehaza is ko Wird ke tour per Apni Zindagi me rakh le to Barkat hi Barkat hogi..inshaAllah.

Allah hame Kamil Eiman wala Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA),

You might also like