DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:877-HADEES NO :2823

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah (Raziallahu) se rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Eiman ke 64 Darjeh hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2823),

Dars: Ahadees e shareefah me mukhtalif Adad ke Eiman ke darjeh Bataye gaye hain,kahi 70 se ziyadah to kahi 45 aur kahi 64 Darjeh Bataye gaye Jin Me Taharat,Haya aur Husne Akhlaaq aur BAA me Narmi etc ..Bataye gaye hai,sabka Hasil ye hai,ke Bandah Jab in Darjo per Amal karega to Wo Kamil Momin Ban jayega warna Wo Eiman wala to Hoga lekin Kamil Eiman wala Nahi hoga lehaza Eiman me Kamal aana ho to in Baato per Amal kare to InshaAllah wo kamal Bandeh ko Hasil hojayega..

Allah Hame Kamil Eiman wala Banaye…Ameen YA Rabbal Aalameen bijahi Taha wa Yaseen..

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like