DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY :882-HADEES NO : 2829

Hazrat Sayyiduna Jabir Bin Abdullah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Bandah aur Kufr ke Darmiyan Farq karne wali Cheez Namaz ko Tark(Chodna) karna hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2829),

Dars : Guzishtah Hadees me Eiman aur Kufr ke Darmiyan farq ke Alfaz aye the isme Hadees me Bandah ka lafz aya hai,Yani Bandah usi waqt Allah ka Bandah banta hai,jabke wo Allah ki khatir Namazo ka Paband jojata hai,to wo Allah ka Muaarrab Bandah Ban jata hai,

■ Allah se Qurb Hasil karne ke Asbaab ke Baare me poocha gaya to Allah ke Rasool sallallahualihiwasallam ne farmaya : Nafil Namaze Padha karo ye Allah ka Qurb ka zariyah Banti hain,to Nafil Namaz ki ye fazeelat hai,to samjho ke Farz Namaz ki Fazeelat ka Aalam kiya hoga.

Allah hame Allah ka qurb Naseeb kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR ,TELANGANA)

You might also like