DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY :881-HADEES NO :2827

Hazrat Sayyiduna Jabir Bin Abdullah Raziallahuanhu se Rivayat hai, kaha, Rasoolullah sallallahualihiwasallam ne farmaya: Eiman Aur Kufr farq karne wali Cheez Namaz ko Chodna hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No :2827),

Dars : JO Bandah Momin hora hai,wo Apne Eiman ko Islami Ahkaam ke mutabiq yani Namaze Padh kar Apne Eiman ko Mukammal karleta hai,aur Jo Islami Taleemat pe Amal Nahi karta wo Sirf Naam ka Musalman hota hai,kyu ke Namaz Musalman Padhta hai,kafir Nahi padhta hai,

■ Baaz Ulama e kiram ke paas ye hukm bhi hai,ke Jo Susti wa Kaheli karke Jaan boojh kar Namaz ko Chod do to wo Unke Paas KAFIR ke hukm me hai,yank uske Dil se Noore Eiman khatam hojata hai,aur wo Marne se pahle Halate Kufr me inteqal karega..!!!!

ALLAHU AKBAR KABEERA…

● Hadees me Aya hai,ke Namaz Momin ki Meraj hai,Jo isko Thaam lega to usko Har qisam ki Rahat,Ghar aur Dukan me Barkat Naseeb hogi.

Allah Hame Namazo ko Paband Banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA).

You might also like