DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:868-HADEES NO :2810

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah (raziallahu) se rivayat hai,kaha,Rasoolullah ﷺ NE farmaya: Mai us waqt tak logo se Ladta rahoo jab tak ke wo LA ILAHA ILLALLAH..Na padh le,Haan jab wo Kalimah padh le to wo mujh se Apni Jaan aur Maal ki Hifazat karliye,Magar Us Kalimah aur unka Hisab Allah per hai.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No : 2810)

Dars : Deen e islam ek Haqqeqi aur Fitrate insaani ke Muvafaq wala Mazhab hai,lehaza isko Doosro tak pahonchane keliye Taufeeq ki Dua,Koshish,Mehnat aur Mashaqqat karne ki taraf Hadees e Paak se hame Dar milta hai,jo bhi Ghair Muslim Kalimah tauheed

لا إله إلا الله محمد رسول الله

Ada karleta hai,to Allah uske pichle Saare gunah maaf kardeta hai, aur uska Husab ibteda se  Shuru hota hai,aur bhi Bohat se fazeelate hai,

● Momin Bando ko Chahiye ke Apne ILM,Amal aur Husne Akhlaaq aur Piyar wa Mohabbat ke zariyah doosro ko Kalimah Tauheed ki dawat de to inshaAllah ye Amal Dunya aur Akhirat me Kamiyabi ka Zariyah banega..inshaAllah.

Allah hame Hamesha Kalimah Tauheed ki Azmat Baja Lane wala banaye..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

You might also like