DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:872-HADEES NO :2815

Hazrat Sayyiduna Umer Bin Khattab (raziallahu) se rivayat hai,kaha : Hum Rasoolullah ﷺ ke paas Baithe huve the to Ek Safaid Kapde wala,Kaale Baal wala shaks aya us per safar ka koi Asar Nazar Nahi aaraha tha,Hum me se koi Usko Nahi Jaanta tha,to wo Nabi e Akram sallallahualihiwasallam ko Qareeb agaya aur apne Ghutno ko aapke ghuano se laga kar Baith gaya aur sawal kiya ke : EIMAN kiya hai ? Tum Eiman Lavo Allah per,Uske Fariahto,Rasoolo,Kitabo aur Taqrdeer ke Achayi aur Burayi per,

Phir sawal kiya : Islam kiya hai ?

Aapne farmaya: Kalimah e Tauheed ki gawahi dena,Namaz qayim karna,Zakat dena,Hajj e Baitullah karna,aur Ramazan ke Rozeh rakhna,

Phir sawal kiya :Ehsan kiya hai ?

Apne farmaya : Allah ki is tarah Ibadat karna ke Tuma Allah ko dekh rahe ho,aur agar aysa Na ho to ye yaqeen karo ke wo Tumko Dekh raha hai,

Phir wo Har jawab pe kahta ke Aapne Sach kaha,to Hum ta’ajjub karne lage ke wahi sawal karta hai,aur wahi tasdeeq karta hai..!!

Phir kaha :Qiyamat kab ayegi ?

Aapne farmaya:sawal karne wale se ziyadah jis se sawal kiya ja raha hai,wo Ziyadah nahi jaanta,

Kaha uski Nashaniya Kiya hai ?

Aapne farmaya : tum dekhoge ke Baandhi Apne Aaqa ko paida karegi,aur Nange Badan,Nange Pair aur Bakriya Charane wale Badi Badi imarato me rahenge,

Phir uske Baad meri Mulaqat Nabi e Akram sallallahualihiwasallam se huvi to apne farmaya aye umer tum ye sawal karne wale ko jaante ho ? Wo Jibraeel Alaissalam the,Jo tumhare paas aakar tumhe Tumhare Deen ke Nashaniyo ke baare me ilm sikha rahe the.

(Jamiut Tirmizi, vol/2,Hadees No :2815),

Dars : Hadees se shareef me Bataye gaye Eiman,Islam,Ehsaan per Hum Amal lare to inshaAllah 2 jahah me kamiyabi Naseeb hogi.

Allah hame Nek Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

 

 

You might also like