DARSE JAMIUT TIRMIZI, DAY:873-HADEES NO :2818

Hazrat Ibne Abbas (raziallahu) se rivayat hai, kaha: RASOOLULLAH ﷺ ke Bargah me Abde Qais(Qabeelah) ka Ek wafd Hazir huva,aur kahe ke Hum aur Ye Log apki Bargah me Hurmat wale Maheeno ke siva Hazir Nahi hosakte,to Aap hame Kuch Naseehat farmaye taake hum us Baat ko thaame le aur Hamse Peeche Aane walo ko uski Dawat de,to aapn Farmaya: Mai tumhe 4 Cheezo ka Hukm deta hoon,Allah per Eiman lana,Phir apne uski tafseer batayi ke Gawahi dena ke : Allah ke siva koi Maabood Nahi,Aur Mai Allah ka Rasool hoon,Namaz Qayim karna,Zakat dena,Aur Maal e Ghaneemat me se 5wa Hissah Ada karna.

(Jamiut Tirmizi, Vol/2,Hadees No:2818)

Dars : Hadees e Paak se Maloom huva ke Buzrugo ki ziyarat karna aur Unse ilm Hasil karne keliye Safar karna ye shaba e Kiram ki sunnat hai,to ILM jaha se bhi Hasil ho raha ho usko Hasil karne ki koshish karni chahiye taake peeche Aane wali Nasli Jahalat ke samandar me Naa doobne Paye,

● Sirf Ek Allah ki ibadat karna eiman hai,Aur Allah ke Bando ko Jo bhi taqat aur Qudrat milti hai,wo unhe Allah ki taraf se hi milti hai,lehaza Allah to Allah hi hai,aur Bandah Bandah hi hota hai,

■ Agar koi Buzrugo ki tazeem aur unki Ziyarat karne ko Shirk ya Bid’at kahe to wo unke ilm ki Kami aur Zahni Gumrhi aur Tabiyati Badmaashi samjhi jayegi,Allah ayse logo se Hame Mahfooz rakhe..Ameen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S),

 

You might also like