DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 548,Hadees No :2349,

 

Hazrat Abdullah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Mere baad Doosro ka Ghlbah aur Chand Baato ko dekho ge jise Tum Na Pasand karoge to aysi Soorat me Tum Ghairo ka Haq ada kardo aur Apna Haq Allah se Maango.
(Vol/2,Hadees No :2349),
Dars : *Sabhi Momineen ko Yaume Mavlid un Nabi Sallallahualihiwasallam Ki Rahmate wa Barkate..Mubarak ho..*
Ab Jo Zamanah hai,wahi Akhiri wa Qiyamat ke Qareeb wala Zamanah hai,to Dunya ke in Halaat me Hum Sabhi Musalmano ko Sabr se kaam lena zaroori hai,kyu ke ye Ghairo ki Hukoomate wa Taqate Waqti hain,ye Hamesha Rahne wali Nahi hain,Allah ne unko Mohlat di hai,Maidane Hashr Unka Zaroor Bad Tareen Haal hoga,aur wo Hamesha Jahannami honge,
Musalman keliye Ye Dunya Qaidkhanaho
hai,aur Kafir keliye Jannat jabke ye Dunyavi Jannat waqti hai,aur Musalman keliye Akhirat ki jannat daqyimi hai,to Apne Haq ki tavaqqu Allah se rakhe Na ke Bando se..
Allah Hame Qiyamat ki azmayisho se mahfooz kare. AMEEN.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like