DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 549,Hadees No :2350,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ye Dunya Meethi Haryali Hai,isme Allah ne Tumko Khaleefah Banaya hai,to Tum Dunya aur Aurato(Ladies) Bacho.
(Vol/2,Hadees No :2350),
Dars : Meethi Haryali ? Jo Cheez Hari wa Meethi hoti hai,wo Ziyadah Waqt tak Baaqi Nahi rahti hai,aur jo Cheez Hari waMeethi Hoti hai,Uski Taraf Har koi Khincha Chala aata hai,to Momin Bandeh ko bhi Chahiye ke wo Waqti dunya ko Chode aur Hamesha Baaqi Rahne wali Akhirat ki Tayyari kare taake Wo Dunya aur Akhirat dono me kamiyab rahe..
●● Dunya Se Bachna ?: Yani Dunya ko hi Apna Maqsad Nahi Bana lena hai,Balke Deen ko Hasil karne keliye Dunya Sirf Ek Zariyah Wa Sabab hai,Taake Dunya me Rabb ki Bandagi karsake,
■■ Aurato se Bachna ? Halal Tareeqeh se Nikah karna hai,Baghir Nikah ke Ladki se Nazar milana bhi Haram hai,aur Zina to Sabse Bada Gunah hai,Jiski Saza Jahannam me Jalna hai..!!!
Allah hame Dunya ki Mohabbat se mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like