DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 552,Hadees No :2353,

 

Hazrat ibne Abbas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mere Baad Tum Ek Doosre Ko Qatl karke Kafir Na Bano.
(Vol/2,Hadees No :2353),
Dars : Deen e islam ne Momin ko Doosre Momin Bandeh ki Tazeem wa Ehteram karne ki taleem di hai,kyu ke Jo kisi Musalman ki Tazeem karta hai,to wo Haqeeqat me Islam ki Tazeem hoti hai,isi liye Kaabe se bhi Ziyadah Azmat wala Momin ko kaha gaya hai,
Aur Momin ke Dil ko takleef dene se mana kiya gaya hai,aur Ek Hadees me yaha tak bhi aya hai,ke Jo kisi Momin Bandeh ko takleef deta hai,to Allah us Bandeh se Naraz hojata hai,aur jo Momin Bandeh ko khush karta hai,aur Madad karta hai,to Allah bhi us Bandeh ki Madad me laga rahta hai..!!
Afsos Aaj hamara Haal Mere Kapde,meri Gadi,mera ghara yaha tak meri Dawat achi hai,kahke doosro ko Dili takleef dene me lage huve hai,jabke islami takeem kuch aur batati hai,to hame khud ka Hisab bhi lena zaroori hai..??
●● Kisi bhi Insaan ko Baghair wajah Qatl karna Islam me Haram hai,aur jab kou Jurm sabit ho to ab usko Khud hi Nahi Balke
Hakim ya Wazeer ko usko Saza dene ke Haqdar honge Doosre Nahi,to Kisi Momin ko Qatl karna Jahannam ka Sabab hota hai,aur wo usko Halal Samajh kar qatl kare to Kafir hojata hai,
Lehaza kisi bhi insaan ko Islam Qatl Nahi balke us se Mohabbat ki taleem deta hai.
Allah hame Ek doosri ki tazeem karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like