DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 553,Hadees No :2354,

 

Hazrat Sa’ad Bin Abu Waqqas (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Anqareeb Tum per Kuch Azmayishe Ayengi to us waqt Baithne wala Khade hone wale se Behter hoga,aur Khade hone wala Chalne wale se aur Chalne wala Daudne wale se Behter hoga,to Ek sahks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) agar koi Ghar me akar Qatl karna chahe to Kiya kare to aapne Farmaya :Adam(Alihissalam) ka Beta Ban javo.
(Vol/2,Hadees No :2354),
Dars : Qiyamat ke Qareeb wali Azmayishe Har soorat me hone wali hain,to usme padhne se ziyadah behter hai,ke ua se ehtiyat kare,Kyu ke un Azmayisho se jitna door rahenge utna hi Akhirat ka faidah hoga,Dekhiye Pahle Sharab peena to Door ki Baat hai,uska Naam bhi liya jana Ayb Samjha jata tha,lekin Aaj kal to Sharab Peena hi ek Style aur Shan Ban gaya hai(Awuzubillah min zalik) etc….
To in Ghair Insaani Halat se apne apko Bachana aur Khud ki islah me rahna hi ziyadah behter hai,
■■ Adam ka Beta Ban na..? Uski kayi tashreehat hai,jin me se ye ke : Agar koi Islam ko Chodne per Majboor kare warna Jaan ka Qatrah bataye to aysi Soorat me Islam ko Tham kar Apne aapki Qubani dena hi ziyadah behter hai,etc…
Allah hame Hikmat se kaam lene wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like