DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 581,Hadees No :2401,

 

Hazrat Umar bin Sabit Ansari (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Jaan lo ke Bandah Allah ko Apni Zindagi me Nahi dekh sakta hai,Haan,Marne ke Baad dekh sakta hai,to Jab Jab Dajjal ayega to uske Peshani pe ك ف ر likha huva hoga,jo uske Amal ko Na Pasand karega to wahi un Alfaaz ko dekh sakega.
(Vol/2,Hadees No :2401),
Dars : Allah ke Zaat hi aysi hai,ke jiska Ihata Bandeh Nahi karsakte kyu ke wahi Saari Makhluq ka ihata krne wala hai,aur Saare Aalam usi ke Qabzeh Qudrat me hai,to Jab Bandah Rab ko apni Aankho se Nahi dekh sakta hai,kyu ke Allah ke deedar ki Qudrat Bandeh ke Aankhe Nahi rakh sakti hai,to Jab Dajjal Dikhayi dega aur Nek Logo ko Uske Peshani per likha huva ك ف ر (Kufr/Kafir) bhi dikhayi dega to Nawuzu Billah ye Dajjal Rabb kise ho sakta hai,Wo Hargiz Rabb wa Khaliq Nahi hosakta hai,
●● Ab Dunya me Jo Anbiya e Kiram(Alimussalam) ne Rabb ka Deedar kiya hai,aur Jo Aaqa e Do Jaha Sallallahualihiwasallam ne Meraj me deedar kiye hai,to Allah ne unko Apni Qudrat se wo Be Misal Basarat ata farmayi to unhone uski hi ata ki huvi Basarat se Rabb ka aur uske Anwaar ka Deedar kiye hai,aur jo Allah ke Nek Wali hote hai,wo Rabb ke Anwaar ka Deedar kiya karte hai,
●● Jo Uske Amal ko Na Pasand karega.. ? Jo Dajjal ke Amal ko Shaitani Amal samjhega to uska Eiman Mazboot hoga aur us per Dajjal ki Haqeeqat zahir hogi aur ك ف ر bhi dikhayi dega aur wo uske fitno se mahfooz rahega aur JANNAT ka Haqdar hoga,
Isme is baat ka bhi Nokta hai,ke Jo Bandah jitna Nek hoga usko Roohani dunya me Jinn wa Shayateen ki Shararate Nazar ayengi aur wahi Bando ko unke Sharr se Allah ki Madad wa Noorani ilm se door karsakega,insha Allah.
Allah hame Haq wa Batil ne farq karne wala banaye..Ameen
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like