DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 580,Hadees No :2400,

 

Hazrat ibne Umar (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Khade hokar Allah ki Tareef bayan ki phir farmaya : Mujh se pahle Saare Anbiya e kiram(Alihimussalam) ne apni Ummato ko Dajjal ke bare me daraya hai,aur Hazrat Nooh(Alihissalam) ne bhi apni Ummat ko us se daraye hain,to mai bhi tum ko Dajjal ke Fitno se darata hoon,ke tum us se mahfooz raho,lekin Tumko Uske Bare me ek aysi Cheez batavunga jo ab tak kisi ne Nahi batayi wo ye ke : DAJJAL EK AANKH WALA HOGA(KANA HOGA),jabke Allah Har Ayb se Paak hai.
(Vol/2,Hadees No :2400),
Dars : Dajjal ki kayi Cheeze Hadees me ayi hain,un me se ek Ye ke Dajjal ek aankh wala hoga,aur wo apne aapko Khaliq(Allah) hone ka Jhoota Dawa karega,jabke wo Khud Kana(Ek Aankh wala) hoga,jo insaan me ek Ayb samjha jata hai,jab wo khud hi Dunya ko mukammal Nahi dekh sakta ho to wo Dunya ka khaliq wa malik Kise hosakta hai,Lehaza wo Khaliq Hargiz Nahi hosakta hai,Allah jo Saare Aalamo ka Khaliq wa Malik hai,wo Har Qisam ke Aybo se Paak hai,jiski Har Lamha Hamd wa Tareef bayan ki jati hai,jabke Dajjal ke Naam ko bhi Nafrat se liya jata hai,Dajjal Khaliq to Door ki Baat hai,Balke ek Nek Bandah bhi Nahi ban sakta hai,to hame aur aane walo ko Chahiye ke Allah per kamil yaqeen rakhe aur Dajjal ke fitno se khud ko aur apne Ahbaab ko aagah kare insha Allah mahfooz rahenge.
Allah hame Har lamha Eiman per Suboot wa Dawam ata farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like