DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 593,Hadees No :2423,

 

Hazrat Abdullah Ibne Masood (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Musalmano ki Madad ki jayegi,Phir Un per Museebate ayengi aur Mseebate Door kardijayengi,jab tub is tarah ka zamanah dekho to Allah se Daro, Bhalayi ka Hukm do aur Burayi se Roko,Jo Meri Taraf Nisbat kartr huve koi Jhooti Baat pahlayega to Uska Thikanah Jahannam hoga.
(Vol/2,Hadees No :2423),
Dars : Musalmano per Har Qisam ke daur Madad,Museebat,Mushkile,aur Aasani etc…aye hai,aur aate rahenge to Musalmano ko chahiye ke in baato ko Jaan kar Apne aapko Mazboot karle,Ke Museebat me Darna Nahi hai,Balke Sabr karna hai,kyu ke phir Madad aane hi wali hai,phir apne kaam me aage badhte jana hai,
■■ Allah se Har Haal me Darna hai,bis jab aysa Mahol pa le to aur bhi Ziyadah Darna hai,aur Bhalayi ka hukm dete huve Bhalayi ke kaam bhi karte jana hai,aur Burayi se rokte huve Burayi se rukte huve bhi jana hai,to insha Allah 2 jahan me kamiyabi naseeb hogi.
Allah hame Har Haal me Allah se darne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like