DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 594,Hadees No :2425,

 

Hazrat Ka’ab Bin Ujrah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Suno,kiya tumne ye suna ke : Mere Baad Chand Ameer(Badsha,Wazeer,etc..) ayenge,Jo Unse Mulaqat karega,Unke Jhoot ki Tasdeeq karega,aur Unke Zulm per Madad karega,to Wo Mujh se Nahi aur Mai us se Nahi,Wo Hauz e Kausar per Mujh se Mulaqat Nahi karega,
Aur Jo Unse Mulaqat Nahi karega,Unke Jhoot ki Tasdeeq na karega,aur Unke Zulm per Madad Nahi karega to Wo Mujh se hai,aur Mai us se Hoon,aur Hauze Kausar per wo Mujh se Mulaqat karega.
(Vol/2,Hadees No :2425),
Dars : Sab se Behtreen Zamanah Daur e Risalat sallallahualihiwasallam hai,phir sahab,Tabayeen wa Tabe Tabayeen ka daur hai,uske Baad fisq wa fujoor pahel jayega aur Jhoote wa Zalim Badsho ka Daur hoga,to Jo Unse Rishtah Na rakhe aur unke Zulm per madad na kare to Usko Hause Kausar per Mulaqat ka sharf milega aur wo uske liye Jannat ka Raastah Aasan hojayega,warna Jahannam me jayega,
●● Zalimo ki Madad unke Zulm per khamoosh baithne se bhi samjhi jayegi aur Zuban se unke zulm ko na rok sake to Kam se kam Dil me to usko Bura Samajhna hai,tab hi Zulm ke khilaf khade hona sabit hoga warna Nahi..!!
Allah hame Zalim Badshao aur Wazeero ke Zulm wa Sharr se Mahfooz farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like