DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : Gawahi, DAY : 615,Hadees No :2468,

 

Hazrat Ayman Bin Khurem (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Member per Khade hokar farmaya : Jhooti Gawahi dena Allah ke Saath Shirk karne ke Bara Bar hai,Phir Aapne Ye Ayat ki Tilawat farmayi,
{فَاجْتَنِبُوا الرِّجْسَ مِنَ الأَوْثَانِ وَاجْتَنِبُوا قَوْلَ الزُّورِ}.
Tarjumah: Aye Bando Tum Buto ki Gandagi(Shirk) se Bacho aur Jhooti Gawahi se Door raho.
(Vol/2,Hadees No :2468),
Dars : Gawahi Ki Bunyad Allah ko Hazir wa Nazir rakh kar diye jane per hoti hai,Jab Koi iske Ba Wajood Jhooti gawahi de to ab uske Aqeedeh me kamzori ajayegi aur Eiman ki mazbooti khatam hojayegi,jiske Sabab wo Shirk ka murtakib hoga,aur iske Alawah usko Akhirat me Jhooti gawahi dene ki Dardnaak Saza bhi milegi,
●● Gawahi ki Jaha zaroorat ho waha Haq ke Saath Gawahi dena hoga aur ye Gawahi Be Gharz honi chahiye aur usme Saamne wale ki bhalayi ki Niyyat kaafi hai,kisi Dunyavi Gharz se paak honi chahiye tab hi uska Ajr usko milega,
■■ Miya aur Bivi ke Moamalaat me Ulama e kiram ne farmaya ke :Gawaho se ziyadah unke Apasi Bharoseh ke ziyadah Ahammiyyat hai,jabke Aaj kal Har Choti Baat per Husband aur Wife ke Darmiyan Sulah keliye Meeting rakhte hai,iski itni ziyadah zaroorat nahi hai,balke unka Apadi Ittefaq hi kaafi hai,
Haan,Jaha Bohat zaroori ho to koi Haraj Nahi hai.
Allah hame Sacho me Hamesha Shamil rakhe..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like