DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ILM,DARS DAYS:903-HADEES NO :2857

Hazrat Sayyiduna Ibne Abbas Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Allah jis kisi ke Saath Khair(Bhalayi) ka iradah karta hai,to usko Deen ki Samajh Ata karta hai.

(Jamiut Tirmizi,Vol /2,Hadees No:2857),

Dars : Dunya me Allah ke Bohat se Bandeh Allah se Bhalayi Maangte hai,koi Maal ki Bhalayi to koi Dehat to koi Mansab etc to Allah unko unke Lehaz S bhalayi ata karta hai,lekin Jab Bandah ki si ko Chahta hai,to unko Aysi Bhalayi ata karta hai,Jo unko 2 Jahan me Kamiyabi wa Sarbulandi ka zariyah Banti hai,wo Bhalayi “ILM E DEN” hai,to Samajh lo ke Jo Deeni Uloom ko Hasil karne me Masroof hain,to unke Saath Allah ki Bhalayi Shamil e Haal hai,to unko Mazeed padhne ka Mauqah do aur unka Saath bhi do Saath dene walo ko bhi Allah Ajr ata karta hai,

●○ Deen ki Samajh Ek Aysi Nemat hai,jiske Hasil karne se Kayi Naslo ko Sudhara ja sakta hai,Aur ye ILM e Deen ka pahlane wa Aam  karne ka Kaam Ambiya wa Rasoolo ka hai,Jo Allah ne Ulama e kiram ko ata kiya hai,to usko sahi Andaz me karne keliye Sahi Taleem hasil karna bhi Zaroori hai.

Allah hame Aqle Saleem ke saath ILM ata kare ..Ameen

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

You might also like