DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : JANAZAH , DAY : 205,

 

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) Ek Ayse Nawjawan ke paas Tashreef legaye jo Maut ke Bilkul Qareeb tha,aapne us se Farmaya : Is Halat me apne aapko kis tarah Pa rahe ho ?
To usne Jawab Arz kiya : Allah se (Maghfirat) ki Umeed hai,Aur Apne Gunaho ka Khauff bhi hai, to Aapne farmaya:
Jis Bandeh ke Dil me Umeed aur Allah ka Khauff ho to Allah us Bandeh ko Uski jo Umeed hai,wo ata karta hai,aur Usko khauff se Aman wa Rahat ata karta hai.
(Vol/1,H,No:999),
Dars : to dosto malum huva ke Allah ki Rahmat se kabhi Mayoos Nahi hona chahiye kyu ke Allah apne Bando ko KAYI RAHMAT KE ASBAAB deta hai,bus Bandeh ko Samjhne ki Zaroorat hai,aur un Asbaab se faidah hasil karlena hai, phir Ab Rahi ye..
■■ UMEED …Amal ki taraf Raghib karti hai,aur KAHUFF….Amal ko Sahi andaz se karne ki taraf Tawajjuh dilata hai..
●● Umeed Jannat ko lejane ka Rastah Batati hai,KAHUFF Jahnnam se Bachne Ka Rastah Batata hai,
☆☆ UMEED me Jaza Dikhati hai,aur KAHUFF Saza se Darata hai….
○○ UMEED…Allah ki Rahmat me Basati hai,aur KHAUFF …Gunaho ki Zahmat se Aagah(alert) karta hai….etc…
Gharz ke ye 2 Cheeze Jisme Hongi to Samjho Wo Kamil Musalman hai…
Allah hame Umeed aur Khauff Dono ke Daireh me rah kar Zindagi guzarne ki Taufeeq ata farma..Ameen

You might also like