DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : JANAZAH, DAY : 204,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihuwasallam) ne farmaya : Bandeh ke Subah se lekar Sham,aur Din wa Raat ke Aamal Allah ke Paas 2 Farishteh Pesh karte hai,to Jab Us Bandeh ke Naame Aamal ko Allah dekhe ga to To Farishto se farmayega ke Farishto dekho ye Bandah Aaj koi to Nek Amal kiya hoga ?
Farishteh kahenge Allah :Bus Subah ke waqt ek hi Nek Kaam kiya hai,phir saare ke saare “BURE AAMAL” hi kiya hai,ya ye kahenge ke Sirf Raat me Ek hi Nek kaam kiya hi,saara din Bure Kaamo me laga raha,aur koi Neki Nahi kiya hai…!!
To Allah farmayega ke ..Aye Farishto “MAI US EK NEKI KE BADLEH USKE SAARE DIN KE BURE AAMAL KO MAAF KARDIYA…
(VOL/1,H,No :997),
Dars :Momino Ye Allah ki Rahmat hai,aur Uska Fazal wa Karam hai,ke 1 Neki Ke Badleh wo 100 Ya 1000 ..etc Be shumar Gunaho ko bhi Maaf karsakta hai..
■■ Phir Hame bhi Chahiye ke Allah ki Rahmat Hasil karne ke Layiq bhi Bane…wo kise ? …Hamesha Nek Kaam karte huve..
●● Ek Neki ke Badleh Pure Gunah Maaf hote hai,samajh kar Rozanah 100 Bure kaam karke 1 Nek Kaam karna Shuru kare to Ye Sahi Nahi hai,Phir Allah Nek Kaam ki Taufeeq hi Nahi deta,aur agar wo Nek Kaam kar bhi le to usko Qubool bhi Nahi karega,jab Allah usko Qubool hi Na kare to wo Kaam Neki Nahi Ban sakta hai..
Lehaza Hamesha Nek Kaam karte rahna hai,
☆☆ Din me 1 Neki ka ye Aalam hai,to phir kayi Nekiyo ka Alam kiya hoga..
♢♢ Nek Kaam karne me Ye Mat dekho koun Kiya Comment karta hai,Bus Khud ke Commitment per hi Tawajjuh de to ziyadah behter hai…Allah Mujhe aur Aapko Nek kaam ki Taufeeq de..ameen.

You might also like