DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 608,Hadees No :2453,

 

Hazrat ibne Umer (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mere Khaab me mujhe Doodh ka Piyala(Cup of Milk) pesh kiya gaya to Maine Usme se Doodh peekar(after Drinking) Bacha Huva Doodh Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) ko dediya,to Sahab e Kiram ne Arz kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) uski Tabeer kiya hai ? To Aapne Farmaya : Wo ilm hai.
(Vol/2,Hadees No :2453),
Dars :Khaab me Kayi Cheeze aur Kaam Aate hain,to Har ek se Ek Matlab wa Isharah Milta hai,jisko Moabbireen hi Sahi jaan sakte hain,
Aur jo Hadees me Aya hai,ke Khaab me Doodh(Milk) ka Dekhna ilm ki taraf ishrah hai,aur Ye Khaab to 2 Jahan aur ilm e Ghaib rakhne wale Noor e Mujassam sallallahualihiwasallam ko aana Apni Ummat ko ilm ata karne keliye hai,jaisa ke Hazrat Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) ko khaab me ata kiya gaya,
●● Ulama e Kiram farmate hai,ke ilm ki Tadap aur Lagan Dil me rakhe aur Amali Namuna pesh kare Khaab me Doodh ka Dekhna Sahi faidah dega,Bus Khaab pe hi Bharosha karke Nahi Baithna jana hai,Balke Kishish bhi karni hai.
Allah hame ilm ki tadap aur Usko husool karne wala banaye..Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like