DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 609,Hadees No :2454,

 

Hazrat Abu Umamah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Maine Khaab me Dekha ke Log mere paas Arahe the,to Baaz ke Badan per Qamees(Shirt) unke Seeno tak the,To Mere Paas Hazrat Umer(raziyallahuanhu) bhi aye to un per Jo Qamees thi,wo Unke Pairo ke Neeche Lambi thi,to wo usko Kheenchte huve arahe the,to Sahaba e kiram ne arz kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) uski kiya Tabeer hai ? To aapne Farmaya : Wo Deen hai.
(Vol/2,Hadees No :2454),
Dars : Yani Khaab me Qamees ka aana mauqeh ke etebar se Deen ki khidmat karna uski tabeer hai,aur Har Cheez ka uske Maqam wa Mahel ke lehaz se tabeer hoti hai,
■■ Hazrat Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) ki Qamees ka lamba hona aur unka usko Kheench kar lana aapke Deen e islam ki khidmat ki taraf isharah hai,aur aap ne Deen e islam ki Bohat khidmat kiye hai,aur Kayi islami Qavaneen me aapki Hikmat wa Danayi sab keliye faidah mand sabit huvi hai,
Lekin Afsos …!! Baaz Fiqeh wale Aapki Shaan me Gustakhi karte rahte hain,jis se aapki Shakhsiyat pe kuch asar na hoga ,Balke Unki hi Akhirat kharab hogi,kyu ke wo Chamak Daar Sooraj ki tarah Hamesha Ummate Muslimah ke Dilo me Raushan hain,aur Qiyamat tak rahenge..Insha Allah.
Allah hame Har sahabi ki azmat karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like