DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAAB(DREAM), DAY : 610,Hadees No :2457,

 

Hazrat Ayisha Siddiquah (raziyallahuanha),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) se Waraqah Bin Nawfal ke bare me Sawal kiya gaya,jinka Inteqal hochuka tha,aur Hazrat Khadeejat ul Kubra(raziyallahuanha) ne unke Eiman ki Gawahi bhi farmayi hai, to aap e farmaya : Maine Waraqah Bin Nawfal ko Khaab me Safaid Libas(White Dress) me dekha hai,Agar Wo Jahannami Hote to Safaid Libas me Unko Na dekhta.
(Vol/2,Hadees No :2457),
Dars : Hazrat Waraqah bin Nawfal Ummul Momineen Hazrat khdeejat ul Kubra(raziyallahuanha) ke rishtedaro me se hai,Jo islam qubool karliye the,Jiski Gawahi aapne farmayi hai,to Aap Sallallahualihiwasallam ka unko Khaab Wahite Libas me dekhna Jannati hone ki taraf isharah hai,aur Agar White Libas ke Alawah libas hota to uski kuch aur Tabeer hoti,
●● Is Hadees e Paak se Pata chala ke Doosro ke Eiman per kuch kahne se Behter hai,ke Apne Eiman ki Mazbooti per Mehnat wa Koshish kare aur Doosro ko Neki ki Dawat zaroor de magar unke Eiman ko Allah per Chod de kyu ke Marne se Pahle ka Ek Lamha bhi Saare Hukmo ko badal de sakta hai..!!!
■■ Ummul Momineen Hazrat Khadeejat ul Kubra(raziyallahuanha) ye Naam Arabic Grammer ke kehaz se Sahi hai,
Baaz log is Naam ko sahi bulane me ghalati karke.. “KHATEEJAH” kahkar Bulate hain,jo Sahi Nahi hai,Balke pahle jo Bataya gaya hai,wo sahi hai.
Allah hame eiman me Mazboti wa Sabait qadami Naseeb farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like