DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 347,

Hazrat Abdullah Ibne Umer

(raziyalahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Momin Bandah 1 Aanth bhar ke khata hai,aur Kafir 7 Aanth bhar ke khata hai.
(Vol/2,H,No :1931),
Dars : Yani Jab Momin Bandah khana khata hai,to wo Allah ka Naam (Bismillah) lekar khata hai,to uske khane aur Rizq me Barkat hoti hai,to uske 1 Aanth Bharne per hi uska Pet Bhar jata hai,usko mazeed khane ki zaroorat Nahi hoti hai,
Uske Bar khilaf kafir Allah ke Naam ke Baghir khata hai,to uske khane me Barkat Nahi hoti hai,lehaza wo 7 Aanth bhar ke khata hai,to phir bhi usko khana kaafi Nahi hota hai,
●● Deen e islam pet bhar ke khana khane se Nahi rokta hai,Balke ye taleem deta hai,ke Agar khana ziyadah khane se Allah ki ibadat me susti aane lage to khana kam khane ka hukm hai,taake Allah ki kasrat se ibadat kijaye,
■■ Ab jiske ghar aur Rizq me barkat Na ho to samajh le ke wo Allah ke Naam ke baghair hi kahana kharahe hain,lehaza agar shuru me Bismillah kahna bhool jaye to khane ke akhir me bhi Bismillah kahe to kaafi hai,
Allah hamre rizq me barkat ata kare..Ameen.

Plz..Share it to all,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like