DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 346,

Hazrat Jabir Bin Abdullah

(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne Ek Majzoom Shaks(jisko Kode ki Beemari ho,jisme uske Haath,pair Sukadne lagte hai), ka Haath pakad kar apni Khane ki Bartan me Shamil karke farmaya :Allah ki Zaat per Bharosah waTawakkul karo aur Bismillah kah kar khavo.
(Vol/2,H,No :1930),
Dars :Qurban jaye Aapki Is Rahmat wa Shafaqqat per ke Jis per Koi Raham karne aur Qareeb karne ko Raazi Nahi hota to Ayse logo per Hamare Rahmat wale Nabi e Paak (sallallahualihiwasallam) Raham wa Shafaqqat bhi farmate aur unko apne saath khane me shareek bhi karle te hain…
Allahu Akbar Kabeera…..
Sawal :Ek Hadees me ye bhi aya hai,ke Kode ki Beemari wale se ayse Door raho jaise wo Bhediye se door rahte hai ?
Jawab : Ye 2 Hadees e Sahi hai,lekin unka Tatabuq alag hai,wo ye ke :
Jin logo ka eiman kamil ho to wo Allah ke Khaas Bando me se hote hai,to wo Asbaab per Nahi Balke Musabbibul Asbaab*ALLAH KI ZAAT* per yaqeen rakh kar Beemaro ke qareeb bhi hojaye to unko wo Beemari Nahi lagti hai,
Aur jo Kamil Eiman wale Nahi hote hai,jinki Nazar sirf Asbaab per hoti hai,to unko Beemaro ke qareeb jane se roka gaya hai,kyu ke ayse log Beemaro se Nafrat wa Shikayat karne lagte hain,to is se baaz aane keliye inko Beemaro ke qareeb jane se roka gaya hai,
●● Yaad Rahe ke Sehat ho ke Beemari sab Allah ki Taraf se hi hoti hai.
Allah hamko Doosro per Raham karne wala banaye..Ameen.

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like