DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 353,

Hazrat Safwan Bin Umayyah

(raziyallahianhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Gosht ko Achi Tarah Chaba kar khaya karo kyu ke Aysa khane se wo khushgavar aur Hazimah keliye munasib hota hai.
(Vol/2,H,No :1951),
Dars : Qurban jaye Hamare 2 Jahan ke Aaqa Sallallahualihiwasallam ki is Shafaqqat wa Mohabbat bhari Tarbiyat per ke apni Ummat ko khane ke Aadab aur Yahatak ke gosht ko chaba kar khane ki tarbiyat farmaye hain,Allahu Akbar Kabeera..!!
Dosto Ye Rahmat Nahi hai,to phir aur kiya hai …
●● Gosht aur khane(Rice,etc..) ko Chaba kar Khane se Uski Lazzat bhi Mahsoos hoti hai,aur us se Pet(stomuch) ka
hazimah e Nizam(diagession system) bhi Sahi rahta hai,
■■ Gosht ko Chaba kar khane ka ek faidah ye bhi hojata hai,ke Khud ke aur Doosre Saath khane walo ke khane me Barkat aur Sahoolat dono hasil hojate hain,aur Shukr ka Maaddah bhi paida hojata hai.
Allah hame Sunnat ke muwafaq khane ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamc web site…anwaarulislam,com.

You might also like